kabhī  surḳhī  se  likhtā  huuñ  kabhī  kājal  se  likhtā  huuñ
maiñ  dil  kī  baat  jazboñ  kī  harī  koñpal  se  likhtā  huuñ
maiñ  terā  naam  jab  likhtā  huuñ  apne  dil  kī  taḳhtī  par
gulāb-o-mushk  se  zamzam  se  gañgā-jal  se  likhtā  huuñ
bujhā  kar  zahr  se  rakkhe  haiñ  yāroñ  ne  qalam  apne
magar  maiñ  to  vahī  kevḌe  se  aur  sandal  se  likhtā  huuñ
ḳhushī  kī  dāstāñ  banjar  zamīnoñ  kī  hathelī  par
gulābī  nuur  barsāte  hue  bādal  se  likhtā  huuñ
'salīm'  aatī  hai  jab  sachchā.ī  likhne  kī  mirī  baarī
fasīl-e-shahr  par  jaltī  huī  mash.al  se  likhtā  huuñ