ajab  haiñ  sūrat-e-hālāt  ab  ke
huī  barsāt  meñ  barsāt  ab  ke
badan  meñ  phuul  bhī  chubhne  lage  haiñ
bahut  nāzuk  haiñ  ehsāsāt  ab  ke
zarā  chaukannā  chaukannā  huuñ  maiñ  bhī
hai  duniyā  bhī  lagā.e  ghaat  ab  ke
banā  dūñgā  tire  chehre  kā  jhūmar
lagā  jo  chāñd  mere  haath  ab  ke
lagī  hai  shart  mere  āñsuoñ  kī
samundar  ko  milegī  maat  ab  ke
'salīm'  alfāz  buude  lag  rahe  haiñ
hai  aisī  shiddat-e-jazbāt  ab  ke