baḌh  rahe  haiñ  shaam  ke  mauhūm  saa.e  chal  paḌo
zindagī  kī  laash  kāñdhoñ  par  uThā.e  chal  paḌo
ḳhair-maqdam  kar  rahī  haiñ  Thokareñ  kis  shaan  se
paañv  ke  chhāle  ye  kah  kar  muskurā.e  chal  paḌo
oḌh  lo  sar  par  dukānoñ  daftaroñ  ke  sā.ebāñ
jān-levā  haiñ  makānoñ  ke  kirā.e  chal  paḌo
phir  qudūm-e-shauq  ko  chhūne  lagī  āvārgī
phir  bulāve  kūcha-e-jānāñ  se  aa.e  chal  paḌo
aaj  TuuTī  hai  lab-e-ehsās  se  mohar-e-sukūt
aaj  tanhā.ī  ne  talve  gudgudā.e  chal  paḌo
muḌ  ke  mat  dekho  zamāne  ko  ki  but  ban  jāoge
aañkh  mīche  haath  bāñdhe  sar  jhukā.e  chal  paḌo
vaqt  ke  sahrā  meñ  nañge  paañv  Thahre  ho  'salīm'
dhuup  kī  shiddat  yakāyak  baḌh  na  jaa.e  chal  paḌo