mauja-e-reg-e-ravān-e-ġham  meñ  bah  ke  dekhnā
muflisī  meñ  dostoñ  ke  saath  rah  ke  dekhnā
dāman-e-iz.hār  meñ  jazbe  samā  sakte  haiñ  nahīñ
baat  phir  bhī  baat  hai  ik  baar  kah  ke  dekhnā
ḳhud  ko  miTTī  kā  gharauñdā  farz  hī  karnā  nahīñ
āñdhiyoñ  kī  zad  meñ  rahnā  aur  Dhah  ke  dekhnā
dil  ke  sannāTe  meñ  ḳhushbū  ke  darīche  khul  ga.e
dastakoñ  ke  phuul  darvāze  pe  mahke  dekhnā
kāsa-e-fitrat  meñ  phir  ḳhvāhish  ke  sikke  baj  uThe
phir  parinde  saañs  kī  Daalī  pe  chahke  dekhnā
be-asar  hī  kyuuñ  na  ho  par  apnī  zaatī  soch  ho
dosto  taḳhlīq-e-fan  kā  karb  sah  ke  dekhnā
bādshāhat  ke  maze  haiñ  ḳhāksārī  meñ  'salīm'
ye  nazāra  yaar  ke  kūche  meñ  rah  ke  dekhnā