din-ba-din  safha-e-hastī  se  miTā  jaatā  huuñ
ek  jiine  ke  liye  kitnā  marā  jaatā  huuñ
apne  pairoñ  pe  khaḌā  boltā  paikar  huuñ  magar
āhaToñ  kī  tarah  mahsūs  kiyā  jaatā  huuñ
tū  bhī  jaise  mirī  āñkhoñ  meñ  khiñchā  jaatā  hai
maiñ  bhī  jaise  tirī  sāñsoñ  samā  jaatā  huuñ
nuur  kī  shāḳh  se  TuuTā  huā  pattā  huuñ  maiñ
vaqt  kī  dhuup  meñ  ma.adūm  huā  jaatā  huuñ
saath  chhūTā  to  kaḌā  vaqt  zarūr  aa.egā
aap  kahte  haiñ  to  be-shak  maiñ  chalā  jaatā  huuñ
hādse  jitnā  mujhe  duur  kiye  dete  haiñ
utnā  manzil  se  maiñ  nazdīk  huā  jaatā  huuñ
dekhne  meñ  to  maiñ  zarra  nazar  aatā  huuñ  'salīm'
dekhte  dekhte  ḳhurshīd  pe  chhā  jaatā  huuñ