chorī  kaisī  bhī  ho  ye  lat  bhī  burī  hotī  hai
dil  churā  lene  kī  aadat  bhī  burī  hotī  hai
achchhī  aadat  kā  nafā  log  uThā  lete  haiñ
had  se  ziyāda  to  sharāfat  bhī  burī  hotī  hai
ye  zamāna  baḌā  nāzuk  hai  sambhal  kar  chaliye
jān-e-man  itnī  nazākat  bhī  burī  hotī  hai
ḳhuub  shah  detī  hai  ye  aur  gunah  karne  ko
kyā  ḳhudā  aap  kī  rahmat  bhī  burī  hotī  hai
dilbaroñ  ko  hai  ye  milne  kā  sunahrī  mauqa.a
kaun  kahtā  hai  qayāmat  bhī  burī  hotī  hai
pyaar  kī  suuī  bhī  chubhtī  hai  rafū  karne  meñ
chāk-e-dil  kī  to  marammat  bhī  burī  hotī  hai
pursish-e-hāl  ko  aa.e  haiñ  vo  ġham  de  ke  mujhe
kaise  kah  deñ  ki  ayādat  bhī  burī  hotī  hai
konā  haath  aa.e  to  pallū  ko  pakaḌ  lete  haiñ  log
thoḌī  anjānī  ijāzat  bhī  burī  hotī  hai
aañch  aa.e  jo  usūloñ  pe  to  saudā  kaisā
yuuñ  usūloñ  kī  tijārat  bhī  burī  hotī  hai
us  ne  'sāhil'  tumheñ  dīvāna  banā  rakkhā  hai
haa.e  kambaḳht  mohabbat  bhī  burī  hotī  hai