ek  paudā  jo  ugā  hai  use  paanī  denā
apne  āñgan  ko  na.ī  rut  kī  kahānī  denā
tirī  āvāz  se  jab  TuuTe  mire  ghar  kā  sukūt
dar-o-dīvār  ko  bhī  sehr-bayānī  denā
poñchh  lenā  mirī  palkoñ  se  lahū  kī  būñdeñ
mirī  āñkhoñ  ko  agar  manzar-e-sānī  denā
kashtiyāñ  denā  magar  izn-e-safar  se  pahle
Thahre  paanī  ko  bhī  dariyā  kī  ravānī  denā
yuuñ  jalūñ  maiñ  ki  na  sharminda  rahūñ  sūraj  se
aur  kuchh  aur  mujhe  soḳhta-jānī  denā
ret  par  naqsh-e-kaf-e-pā  nahīñ  rahne  paate
ahl-e-sahrā  ko  koī  aur  nishānī  denā