mausam  to  badalte  haiñ  lekin  kyā  garm  havā  kyā  sard  havā
ai  dost  hamāre  āñgan  meñ  rahtī  hai  hamesha  zard  havā
sab  apne  shanāsā  chhoḌ  ga.e  raste  meñ  hameñ  ġhairoñ  kī  tarah
chehre  pe  hamāre  Daal  ga.ī  lā  kar  ye  kahāñ  kī  gard  havā
chhūTe  na  kabhī  phūloñ  kā  nagar  koshish  to  yahī  hai  apnī  magar
ik  roz  uḌā  le  jā.egī  pattoñ  kī  tarah  be-dard  havā
kyā  baat  huī  kyuuñ  shahr  jalā  ab  is  ke  sivā  kuchh  yaad  nahīñ
ik  fard  sarāpā  aag  huā  pal-bhar  meñ  huā  ik  fard  havā
aa.ī  hai  ghane  jañgal  meñ  abhī  jo  khel  bhī  chāhe  khele  magar
kal  mere  saath  uḌā.egī  phir  sahrā  sahrā  gard  havā
āñkhoñ  kī  chamak  mauhūm  huī  lau  dete  badan  afsurda  hue
dar  aa.ī  hai  'qaisar'  ghar  meñ  mire  ye  kaisī  rutoñ  kī  sard  havā