sulag  rahī  hai  zamīñ  yā  sip.har  āñkhoñ  meñ
dhuāñ  dhuāñ  sā  hai  kyuuñ  terā  shahr  āñkhoñ  meñ
khule  darīche  ke  bāhar  hai  kaun  sā  mausam
ki  aag  bharne  lagī  sard  lahr  āñkhoñ  meñ
kahāñ  hai  niiñd  ki  ham  ḳhvāb  dekheñ  amrit  kā
jo  shaam  guzrī  hai  us  kā  hai  zahr  āñkhoñ  meñ
ḳhafā  hue  bhī  kisī  se  to  kyā  kiyā  ham  ne
bahut  huā  to  rahā  dil  kā  qahr  āñkhoñ  meñ
koī  utārne  baiThe  to  haath  jal  jaa.e
khiñchī  hai  ab  ke  vo  tasvīr-e-dahr  āñkhoñ  meñ
vahī  hai  pyaas  kā  manzar  vahī  lahū  'qaisar'
hanūz  phirtī  hai  kone  kī  nahr  āñkhoñ  meñ