kahāñ  hai  koī  ḳhudā  kā  ḳhudā  ke  bandoñ  meñ
ghirā  huā  huuñ  abhī  tak  anā  ke  bandoñ  meñ
na  koī  samt  muqarrar  na  koī  jā-e-qarār
hai  intishār  kā  aalam  havā  ke  bandoñ  meñ
vo  kaun  hai  jo  nahīñ  apnī  maslahat  kā  ġhulām
kahāñ  hai  bū-e-vafā  ab  vafā  ke  bandoñ  meñ
ḳhudā  kare  ki  samā.at  se  maiñ  rahūñ  mahrūm
kabhī  jo  zikr  ho  merā  riyā  ke  bandoñ  meñ
sazā.eñ  merī  tarah  hañs  ke  jhelne  vaalā
nahīñ  hai  koī  bhī  ahd-e-sazā  ke  bandoñ  meñ
nā  āfiyat  kī  sahar  hai  na  imbisāt  kī  shaam
huuñ  ek  umr  se  sahrā  balā  ke  bandoñ  meñ
suḳhan  shanās  hai  kitnā  ye  pūchh  luuñ  'qaisar'
nazar  vo  aa.e  jo  harf-o-navā  ke  bandoñ  meñ