ubalte  pāniyoñ  meñ  huuñ  kahāñ  ubaal  kī  tarah
maiñ  aaj  bhī  huuñ  tah-nashīñ  guzishta  saal  kī  tarah
diloñ  meñ  sab  ke  chubh  rahī  hai  ik  savāl  kī  tarah
tirī  nigāh-e-yās  bhī  hai  mere  haal  kī  tarah
karūñgā  tujh  se  guftugū  zarā  Thahar  nimaT  to  luuñ
khaḌā  hai  koī  beach  meñ  abhī  savāl  kī  tarah
na  pūchh  mujh  se  haal  dil  ki  in  dinoñ  hai  zindagī
kisī  urūj-e-dīda  kī  shab-e-zavāl  kī  tarah
vo  ek  yaad  jo  abhī  hai  dāġh-e-dil  banī  huī
phisal  na  jaa.e  zehn  se  kisī  ḳhayāl  kī  tarah
na  pūchh  'qaisar'-e-hazīñ  ajiib  sī  vo  chiiz  hai
bichhī  huī  hai  shahr  meñ  jo  ek  jaal  kī  tarah