vo  jo  sab  kā  bahut  chahītā  thā
qabr  kī  sā.atoñ  meñ  tanhā  thā
jis  ne  duniyā  ko  ḳhuub  dekhā  thā
us  kī  āñkhoñ  meñ  qahqaha  sā  thā
rañj  kyā  ḳhvāb  ke  bikharne  kā
kuchh  na  thā  ret  kā  gharauñdā  thā
us  ke  āñgan  meñ  raushnī  thī  magar
ghar  ke  andar  baḌā  añdherā  thā
vo  bhī  pathrā  ke  rah  gayā  āḳhir
us  kī  āñkhoñ  meñ  jo  saverā  thā
ek  piñjrā  udaas  tanhā.ī
us  ne  kyā  kyā  ḳhudā  se  māñgā  thā
shāḳh  jhulsī  huī  thī  aur  us  par
ek  sahmā  huā  parinda  thā
qahqahoñ  kī  barāt  niklī  thī
dard  kī  chīḳh  kaun  suntā  thā
pul  na  thā  aur  sāmne  us  ke
ek  tūfāñ-ba-dosh  dariyā  thā
ek  ḳhushbū  kā  bāñTne  vaalā
gandī  bastī  kā  rahne  vaalā  thā
dukh  meñ  āḳhir  ye  khul  gayā  'qaisar'
naam  ik  maslahat  kā  rishta  thā