shikasta  ḳhvāb  ke  malbe  meñ  DhūñDhtā  kyā  hai
khañDar  khañDar  hai  yahāñ  dhuul  ke  sivā  kyā  hai
nazar  kī  dhund  meñ  haiñ  bhūlī-bisrī  tasvīreñ
palaT  ke  dekhne  vaale  ye  dekhnā  kyā  hai
abhī  to  kaaT  rahī  hai  har  ek  saañs  kī  dhaar
azal  jab  aa.e  to  dekhūñ  ki  intihā  kyā  hai
rahegī  dhuup  mire  sar  pe  āḳhirī  din  tak
javāñ  hai  peḌ  magar  us  kā  aasrā  kyā  hai
tujhe  pasand  kahāñ  haal  pūchhnā  merā
tirī  nigāh  meñ  lekin  savāl  sā  kyā  hai
dhuāñ  nahīñ  na  sahī  aag  to  nazar  aa.e
yuuñ  chupke  chupke  sulagne  se  fā.eda  kyā  hai
udaas  raat  kī  ḳhāmoshiyoñ  meñ  ai  'qaisar'
qarīb  aatī  huī  duur  kī  sadā  kyā  hai