din  chhupā  aur  ġham  ke  saa.e  Dhale
aarzū  ke  na.e  charāġh  jale
ham  badalte  haiñ  ruḳh  havāoñ  kā
aa.e  duniyā  hamāre  saath  chale
lab  pe  hichkī  bhī  hai  tabassum  bhī
jaane  ham  kis  se  mil  rahe  haiñ  gale
dil  ke  in  hausloñ  kā  haal  na  pūchh
jo  tire  dāman-e-karam  meñ  pale
kaun  yaad  aa  gayā  azaañ  ke  vaqt
bujhtā  jaatā  hai  dil  charāġh  jale
maslahat  sar-nigūñ  ḳhirad  ḳhāmosh
ishq  ke  aage  kis  kī  daal  gale