Qabil Ajmeri

hawadis ham-safar apne talatum ham-inan apna

Qabil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1931-1962

havādis ham-safar apne talātum ham-ināñ apnā

zamāna luuT saktā hai to luuTe kārvāñ apnā

nasīm-e-sub.h se kyā TūTtā ḳhvāb-e-girāñ apnā

koī nādān bijlī chhū ga.ī hai āshiyāñ apnā

hameñ bhī dekh lo āsār-e-manzil dekhne vaalo

kabhī ham ne bhī dekhā thā ġhubār-e-kārvāñ apnā

mizāj-e-husn par kyā kyā guzartā hai girāñ phir bhī

kisī ko aa jaatā hai ḳhayāl-e-nā-gahāñ apnā

azal se kar rahī hai zindagānī tajrabe lekin

zamāna aaj tak samjhā nahīñ suud o ziyāñ apnā

jamāl-e-dost ko paiham bikharnā hai sañvarnā hai

mohabbat ne uThāyā hai abhī parda kahāñ apnā

hamesha sham.a bhaḌkegī sadā paimāna chhalkegā

tirī mahfil meñ ham chhoḌ aa.e haiñ josh-e-bayāñ apnā

Top Urdushayar.com