Ishrat Zafar

uThae dosh pe tariKH-e-hadsat-e-jahan

Ishrat Zafar

1944

uThā.e dosh pe tārīḳh-e-hādsāt-e-jahāñ

guzar rahā hai dayār-e-hayāt se insāñ

bichhā rahā hai fazāoñ meñ dām-e-kāhkashāñ

tire gudāz badan tabassum-e-pinhāñ

laboñ pe laakh lagā.e koī sukūt mohr

magar ḳhamoshī na hogī jarāhatoñ zabāñ

bhaḌak uThe na kahīñ phir charāġh-e-zaḳhm lau

sambhal sambhal ke sunāo hadīs-e-shahr-e-butāñ

dhuāñ dhuāñ milī hai fazā-e-shahr-e-junūñ

bujhī hai raat ga.e jab bhī mash.al-e-zindāñ

ye vo jahāñ hai ki har shahr-e-sañg-o-ḳhisht ke ba.ad

qadam qadam pe hai 'ishrat' dayār-e-shīsha-garāñ

Top Urdushayar.com