Ishrat Zafar

zamin ghubar samundar sahab apni jagah

Ishrat Zafar

1944

zamīñ ġhubār samundar sahāb apnī jagah

magar maiñ aur mirā iztirāb apnī jagah

havā zad meñ hai har chiiz ḳhār-o-ḳhas tarah

kaho paḌe raheñ chup-chāp ḳhvāb apnī jagah

agarche bikhrī hai raakh us mere chāroñ taraf

vo lamha ab bhī hai apnā javāb apnī jagah

mire aqab meñ hai āvāza-e-numū guuñj

hai dasht-e-jāñ safar kāmyāb apnī jagah

zabāñ ko detā hai ehsās-e-tishnagī se najāt

vo zā.iqa hai sukūt-e-sarāb apnī jagah

na jaane hogā kahāñ ḳhema-e-badan 'ishrat'

ki chhoḌne ko hai har ik tanāb apnī jagah

Top Urdushayar.com