Nasir Shahzad

dharti pe zindagi ke amiT etimad ko

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007

dhartī pe zindagī ke amiT e'timād ko

ḳhush huā hai dekh ke apne kimād ko

ḳhud miT gayā miTātā huā satvat-e-husain

tārīḳh maat de ga.ī ibn-e-ziyād ko

tā-umr marnā jiinā rahe sājnā ke sañg

dil lobhtā hai aise āshīrvād ko

kohna kahāniyāñ suneñ lekin buneñ chuneñ

ash.ār ke savād meñ taaza mavād ko

sauñpe haiñ maiñ ne jañgalī chiḌiyoñ ke chahchahe

us madh-makhī yaad ko man murād ko

qarza utārā a-c ḳharīdā mañgāyā Dish

is saal ketiyoñ meñ lagāyā thā khaad ko

na.ara alī vird kare sañkh sadā

chimToñ ke saath Dhol bajeñ phūñkeñ naad ko

āḳhir hameñ bhī paḌ gayā hijrat se vāsta

rakhtā hai kaun shahr meñ sahrā-nazhād ko

ban-bās asaas bhare ruuh ke bhañvar

maulā lagā suhāg mirī soch-sādh ko

Top Urdushayar.com