Nasir Shahzad

dil se husul-e-zar ke sabhi zoam haT gae

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007

dil se husūl-e-zar ke sabhī zo.am haT ga.e

fikr-e-ma.āsh baḌh ga.ī ḳhānoñ meñ baT ga.e

phir yuuñ huā ki mujh se vo yūñhī bichhaḌ gayā

phir yuuñ huā ki ziist ke din yūñhī kaT ga.e

khenā sakhī sakhī na sajan taraf mujhe

lenā sakhī sakhī mire paañv rapaT ga.e

ā.īna us ko dekh ke mab.hūt ho gayā

gul-dān meñ gulāb lajā kar simaT ga.e

aḳhroT khā.eñ tāpeñ añgeThī pe aag aa

raste tamām gaañv ke kohre se aT ga.e

aane diyā na mere buzurgoñ ne haq pe harf

maidān karbalāoñ ke lāshoñ se paT ga.e

Daalī nadī meñ naav na bargad ke nīche peñg

kyā gayā palaT ke vo sab din palaT ga.e

khādeñ lagīñ to chhoḌ ga.iiñ khet titliyāñ

fasleñ baḌhīñ to Daar parindoñ ke ghaT ga.e

us se milī nazar to larazne lagā badan

diide sakhī dekh ke pirītam ko phaT ga.e

shānt ho ki terī murādeñ huiiñ saphal

bādal garaj-baraj ke jo aa.e the chhaT ga.e

dekhā to us ke tan pe gire kevḌe ke phuul

paañv se ābshār ke paanī lipaT ga.e

Top Urdushayar.com