to  sharāfatoñ  kā  maqām  hai  to  sadāqatoñ  kā  davām  hai
jahāñ  farq-e-shāh-o-gadā  nahīñ  tire  diin  kā  vo  nizām  hai
jinheñ  tire  naam  kī  chaah  hai  ye  zamīn  un  kī  gavāh  hai
vahīñ  karbalā  kā  vo  dasht  hai  vahīñ  qasr-e-kūfa-o-shām  hai
kahīñ  kañkaroñ  ko  zabān  de  kahīñ  sach  ko  harf-e-bayān  de
dar-e-had  had-e-in.ām  hai  sar-e-qad  qad-e-ilhām  hai
tirā  ruup  ruuh  ke  rū-ba-rū  tirī  priit  parān  meñ  mū-ba-mū
tū  kamāl-e-husn-e-kalām  hai  tū  misāl  māh-e-tamām  hai
tū  ne  ḳhauf-e-marg  miTā  diyā  tū  ne  haq  ko  jiinā  sikhā  diyā
tū  hasan  husain  kā  peshvā  tū  alī-e-valī  kā  imaam  hai
tirā  buad  buad-e-hayāt  hai  terā  qurb  qurb-e-najāt  hai
tū  rutoñ  kā  rañg-e-ravāñ-davāñ  to  sumoñ  kā  sañg-e-mudām  hai
tale  teġh  ke  vo  ibādateñ  tirī  shaan  kī  vo  shahādateñ
vo  hikāyateñ  vo  rivāyateñ  tire  saare  ghar  pe  salām  hai
to  shu.ūr-e-zīst  kā  tarjumāñ  kabhī  juzv-e-jāñ  kabhī  lā-makāñ
yahāñ  arsh-e-farq  pe  jāvedāñ  tirā  nuur  hai  tirā  naam  hai
sabhī  harf  tere  harīm  haiñ  sabhī  aks  tere  aziim  haiñ
sabhī  saj-suḳhan  tire  vāste  sabhī  baat  tujh  pe  tamām  hai