apnī  zamīñ  se  duur  zamān-o-makāñ  se  duur
ham  ne  sajā  liyā  hai  qafas  āshiyāñ  se  duur
maanā  ki  ham  vatan  se  azīzoñ  se  duur  haiñ
tahzīb  se  judā  haiñ  na  urdu  zabāñ  se  duur
mahsūr  tañgnā-e-masālik  meñ  ham  nahīñ
dair-o-haram  se  duur  haiñ  kū-e-butāñ  se  duur
mahsūs  kar  rahe  haiñ  vilāyat  meñ  āj-kal
hindostāñ  meñ  rahte  haiñ  hindostāñ  se  duur
soz-e-yaqīn  mish.al-e-rāh-e-hayāt  hai
tashkīl  se  buland  haiñ  vahm-o-gumāñ  se  duur
'sultān'  asīr-e-zulf  hue  bhī  to  kis  ke  aap
dil  se  bahut  qarīb  haiñ  aur  jism-o-jāñ  se  duur