jitnī  ham  chāhte  the  utnī  mohabbat  nahīñ  dī
ḳhvāb  to  de  diye  us  ne  hameñ  mohlat  nahīñ  dī
biktā  rahtā  sar-e-bāzār  ka.ī  qistoñ  meñ
shukr  hai  mere  ḳhudā  ne  mujhe  shohrat  nahīñ  dī
us  kī  ḳhāmoshī  mirī  raah  meñ  aa  baiThī  hai
maiñ  chalā  jaatā  magar  us  ne  ijāzat  nahīñ  dī
ham  tire  saath  tire  jaisā  ravayya  rakhte
dene  vaale  ne  magar  aisī  tabī.at  nahīñ  dī
mujh  se  jo  tañg  huā  maiñ  ne  use  chhoḌ  diyā
us  ko  ḳhud  chhoḌ  ke  jaane  kī  bhī  zahmat  nahīñ  dī
ham  the  mohtāt  ta.alluq  meñ  tavāzun  rakkhā
pās-e-ulfat  rahā  had-darja  aqīdat  nahīñ  dī
jis  qadar  TuuT  ke  chāhā  use  ham  ne  'ashfāq'
us  saḳhī  ne  hameñ  utnī  bhī  to  nafrat  nahīñ  dī