ga.e  dinoñ  kī  raqābat  ko  vo  bhulā  na  sake
sharīk-e-bazm  the  lekin  nazar  milā  na  sake
azāb-e-hijr  ke  lamhāt  ham  bhulā  na  sake
dayār-e-ġhair  meñ  ik  pal  sukūn  pā  na  sake
bahut  ba.iid  na  thā  mas.aloñ  kā  hal  honā
anā  ke  paañv  se  zanjīr  ham  haTā  na  sake
ta.alluqāt  meñ  had-darja  ehtiyāt  rahī
qarīb  aa  na  sake  vo  mujhe  bhulā  na  sake
fareb  khā  ga.e  tab  jā  ke  inkishāf  huā
qarīb  rah  ke  bhī  ham  un  ko  aazmā  na  sake