sab  jal  gayā  jalte  hue  ḳhvāboñ  ke  asar  se
uThtā  hai  dhuāñ  dil  se  nigāhoñ  se  jigar  se
aaj  us  ke  janāze  meñ  hai  ik  shahr  saf-ārā
kal  mar  gayā  jo  aadmī  tanhā.ī  ke  Dar  se
kab  tak  ga.e  rishtoñ  se  nibhātā  maiñ  ta.alluq
is  bojh  ko  ai  dost  utaar  aayā  huuñ  sar  se
jo  ā.ina-ḳhāna  mirī  hairat  kā  sabab  hai
mumkin  hai  mire  ba.ad  mirī  diid  ko  tarse
is  ahd-e-ḳhizāñ  meñ  kisī  ummīd  ke  mānind
patthar  se  nikal  aa.uuñ  magar  abr  to  barse
rūThe  hue  sūraj  ko  manāne  kī  lagan  meñ
ham  log  sar-e-shām  nikal  paḌte  haiñ  ghar  se
us  shaḳhs  kā  ab  phir  se  khaḌā  honā  hai  mushkil
is  baar  girā  hai  vo  zamāne  kī  nazar  se
lagtā  hai  ki  is  dil  meñ  koī  qaid  hai  'ashfāq'
rone  kī  sadā  aatī  hai  yādoñ  ke  khañDar  se