de  ke  vo  saare  iḳhtiyār  mujhe
aur  kartā  hai  sharmsār  mujhe
zaḳhm  tartīb  de  rahā  huuñ  maiñ
aur  kuchh  vaqt  de  udhār  mujhe
pārsā.ī  kā  zo.am  hai  un  ko
kah  rahe  haiñ  gunāhgār  mujhe
fāsle  ye  simaT  nahīñ  sakte
ab  parāyoñ  meñ  kar  shumār  mujhe
dil  ke  gulshan  meñ  tum  chale  aao
aur  kar  do  sadā-bahār  mujhe
tark-e-ulfat  ke  ba.ad  bhī  'ashfāq'
terā  rahtā  hai  intizār  mujhe