anā  muñh  āñ.suoñ  se  dho  rahī  hai
zarūrat  sar-ba-sajda  ho  rahī  hai
mirī  dushman  mirī  be-bāk-goī
mirī  rāhoñ  meñ  kāñTe  bo  rahī  hai
riyā-kārī  liye  jaatī  hai  sabqat
haqīqat  sar  jhukā.e  ro  rahī  hai
musalsal  ik  aziyyat  zindagānī
ġhamoñ  ke  bojh  sar  par  Dho  rahī  hai
zamāna  maslahat-parvar  huā  hai
zarūrat  ādmīyyat  kho  rahī  hai
kisī  kī  shaḳhsiyat  majrūh  kar  dī
zamāne  bhar  meñ  shohrat  ho  rahī  hai