zamīñ  vāloñ  kī  bastī  meñ  sukūnat  chāhtī  hai
mirī  fitrat  sitāroñ  se  ijāzat  chāhtī  hai
ajab  Thahrāo  paidā  ho  rahā  hai  roz  o  shab  meñ
mirī  vahshat  koī  taaza  aziyyat  chāhtī  hai
maiñ  tujh  ko  likhte  likhte  thak  chukā  huuñ  merī  duniyā
mirī  tahrīr  ab  thoḌī  sī  fursat  chāhtī  hai
udhar  muñh-zor  maujeñ  dandanātī  phir  rahī  haiñ
magar  ik  naav  dariyā  se  baġhāvat  chāhtī  hai