raste  meñ  shaam  ho  ga.ī  qissa  tamām  ho  chukā
jo  kuchh  bhī  thā  ai  zindagī  vo  tere  naam  ho  chukā
kab  kī  guzar  ga.ī  vo  shab  jis  meñ  kisī  kā  nuur  thā
kab  kī  galī  meñ  dhuup  hai  jiinā  harām  ho  chukā
phirte  raheñ  nagar  nagar  kūcha-ba-kūcha  dar-ba-dar
apne  ḳhiyām  jal  chuke  apnā  salām  ho  chukā
raat  meñ  baaqī  kuchh  nahīñ  niiñd  meñ  baaqī  kuchh  nahīñ
apnā  har  ek  ḳhvāb  to  nazr-e-avām  ho  chukā
us  ke  laboñ  kī  guftugū  karte  rahe  subū  subū
ya.anī  suḳhan  hue  tamām  ya.anī  kalām  ho  chukā
ishq  gar  aisā  ishq  hai  ā.ankhoñ  se  bahne  do  lahū
ziist  gar  aisī  ziist  hai  apnā  to  kaam  ho  chukā
raste  tamām  ho  ga.e  us  kī  galī  ke  ās-pās
ya.anī  ḳhirām  ho  chukā  ya.anī  qayām  ho  chukā