Zafar Hameedi

mere nazuk sawal mein utro

Zafar Hameedi

Garhwal, Uttarakhand, India

1926
mere nāzuk savāl meñ utro
ek harf-e-jamāl meñ utro
naqsh-bandī mujhe bhī aatī hai
koī sūrat ḳhayāl meñ utro
pheñk do duur aaj sūraj ko
ḳhud hī ab māh-o-sāl meñ utro
ḳhuub chamkogī aao shamshīro
mere zaḳhmoñ ke jaal meñ utro
kuchh to lutf-e-tazād aa.egā
mere ġhār-e-zavāl meñ utro
ḳhvāh patjhaḌ kī hī havā ban kar
peḌ kī Daal Daal meñ utro
muzmahil raat aur tanhā.ī
kaash ḳhvāb-e-visāl meñ utro
ai 'zafar' pesh hai mahā-bhārat
ādmiyat kī Dhaal meñ utro
Top Urdushayar.com