zamīn  par  na  rahe  āsmāñ  ko  chhoḌ  diyā
tumhāre  ba.ad  zamān  o  makāñ  ko  chhoḌ  diyā
tabāh  kar  gayā  ik  lamha-e-ḳharāb  mujhe
ki  maiñ  ne  halqa-e-āvārgāñ  ko  chhoḌ  diyā
kahīñ  panāh  nahīñ  miltī  lamha  bhar  ke  liye
ki  jab  se  mahfil-e-dil-dādgāñ  ko  chhoḌ  diyā
bas  ek  kunj-e-ḳhas-o-ḳhāk  meñ  sukūn  milā
so  maiñ  ne  halqa-e-sayyārgāñ  ko  chhoḌ  diyā
tumhāre  ba.ad  guzishta  rahā  na  haal  rahā
so  dil  ne  ḳhadsha-e-ā.indagāñ  ko  chhoḌ  diyā