Mansoor Usmani

bujhne na do charagh-e-wafa jagte raho

Mansoor Usmani

1954
bujhne na do charāġh-e-vafā jāgte raho
pāgal huī hai ab ke havā jāgte raho
sajdoñ meñ hai ḳhulūs to phir chāñdnī ke saath
utregā āñganoñ meñ ḳhudā jāgte raho
alfāz so na jaa.eñ kitāboñ ko oḌh kar
dānishvarān-e-qaum zarā jāgte raho
kaisā ajiib shor hai bastī meñ āj-kal
har ghar se aa rahī hai sadā jāgte raho
pahle to us kī yaad ne sone nahīñ diyā
phir us kī āhaToñ ne kahā jāgte raho
phūloñ meñ ḳhushbuoñ meñ sitāroñ meñ chāñd meñ
kholegā koī band-e-qabā jāgte raho
tum bhī suno ki shahr-e-ḳhamoshāñ meñ raat din
sannāTe de rahe haiñ sadā jāgte raho
jab bhī qalam ko mere kabhī aa.iiñ jhapkiyāñ
āñkhoñ ne āñsuoñ se likhā jāgte raho
'mansūr' ratjage to muqaddar haiñ aap kā
jab tak jale suḳhan kā diyā jāgte raho
Top Urdushayar.com