bujhne  na  do  charāġh-e-vafā  jāgte  raho
pāgal  huī  hai  ab  ke  havā  jāgte  raho
sajdoñ  meñ  hai  ḳhulūs  to  phir  chāñdnī  ke  saath
utregā  āñganoñ  meñ  ḳhudā  jāgte  raho
alfāz  so  na  jaa.eñ  kitāboñ  ko  oḌh  kar
dānishvarān-e-qaum  zarā  jāgte  raho
kaisā  ajiib  shor  hai  bastī  meñ  āj-kal
har  ghar  se  aa  rahī  hai  sadā  jāgte  raho
pahle  to  us  kī  yaad  ne  sone  nahīñ  diyā
phir  us  kī  āhaToñ  ne  kahā  jāgte  raho
phūloñ  meñ  ḳhushbuoñ  meñ  sitāroñ  meñ  chāñd  meñ
kholegā  koī  band-e-qabā  jāgte  raho
tum  bhī  suno  ki  shahr-e-ḳhamoshāñ  meñ  raat  din
sannāTe  de  rahe  haiñ  sadā  jāgte  raho
jab  bhī  qalam  ko  mere  kabhī  aa.iiñ  jhapkiyāñ
āñkhoñ  ne  āñsuoñ  se  likhā  jāgte  raho
'mansūr'  ratjage  to  muqaddar  haiñ  aap  kā
jab  tak  jale  suḳhan  kā  diyā  jāgte  raho