barg-e-sadā  ko  lab  se  uḌe  der  ho  ga.ī
ham  ko  bhī  ab  to  ḳhaak  hue  der  ho  ga.ī
ab  sāhiloñ  pe  kis  ko  sadā  de  rahe  ho  tum
lamhoñ  ke  bādbān  khule  der  ho  ga.ī
ai  husn-e-ḳhud-parast  zarā  soch  to  sahī
mehr-o-vafā  se  tujh  ko  mile  der  ho  ga.ī
terā  visāl  ḳhair  ab  ik  vāqi.a  huā
ab  apne-āp  se  bhī  mile  der  ho  ga.ī
sadiyoñ  kī  ret  Dhāñp  kar  āsūda  ho  ga.e
sar  ko  hamāre  tan  se  kaTe  der  ho  ga.ī
sarsar  ho  yā  sabā  ho  ki  hoñ  tez  āñdhiyāñ
ham  ko  fasīl-e-shab  pe  jale  der  ho  ga.ī
terī  galī  ke  moḌ  pe  pahuñche  the  jald  ham
par  tere  ghar  ko  aate  hue  der  ho  ga.ī
ik  daur  thā  'shanās'  sadā  thī  mirī  buland
aur  ab  to  mere  hoñT  sile  der  ho  ga.ī