duniyā  samajh  rahī  hai  ki  patthar  uchhāl  aa.e
ham  apnī  pyaas  jā  ke  samundar  meñ  Daal  aa.e
jo  phāñs  chubh  rahī  hai  diloñ  meñ  vo  tū  nikāl
jo  paañv  meñ  chubhī  thī  use  ham  nikāl  aa.e
kuchh  is  tarah  se  zikr-e-tabāhī  sunā.iye
āñkhoñ  meñ  ḳhuun  aa.e  na  shīshe  meñ  baal  aa.e
samjho  ki  zindagī  kī  vahīñ  shaam  ho  ga.ī
kirdār  bechne  kā  jahāñ  bhī  savāl  aa.e
guzro  dayār-e-fikr  se  'mansūr'  is  tarah
ḳhud  par  zavāl  aa.e  na  fan  par  zavāl  aa.e