is  se  pahle  ki  kuchh  bolā  jaa.e
baat  ko  zehn  meñ  tolā  jaa.e
raaz  phir  raaz  nahīñ  rahtā  hai
rāz-e-dil  sab  se  na  kholā  jaa.e
aib  kitne  hī  dikheñge  ham  ko
apne  man  ko  jo  TaTolā  jaa.e
man  kī  parvāz  bahut  hai  ūñchī
duur  tak  man  kā  hiñDolā  jaa.e
rishte  bante  haiñ  madhur  tab  'ambar'
pyaar  kā  rañg  jo  gholā  jaa.e