ġham-e-ulfat  meñ  Duube  the  ubharnā  bhī  zarūrī  thā
hameñ  rāh-e-mohabbat  se  guzarnā  bhī  zarūrī  thā
haqīqat  sāmne  aa.ī  bahut  hairat  huī  mujh  ko
tire  chehre  se  parde  kā  utarnā  bhī  zarūrī  thā
hameñ  manzil  ko  paanā  thā  tabhī  to  rāh-e-hastī  meñ
hameñ  pathrīle  rastoñ  se  guzarnā  bhī  zarūrī  thā
luTāte  hī  rahe  jo  kuchh  bhī  apne  paas  thā  yaaro
ki  ḳhushbū  kī  tarah  apnā  bikharnā  bhī  zarūrī  thā
hameñ  vo  bhuul  baiThe  haiñ  unheñ  phir  yaad  kyā  karnā
unheñ  rāh-e-mohabbat  meñ  bisarnā  bhī  zarūrī  thā
hamārī  zindagī  meñ  hādse  hote  rahe  'ambar'
unheñ  sahte  hue  apnā  nikharnā  bhī  zarūrī  thā