dil-e-tabāh  ko  ab  tak  nahīñ  yaqīñ  aayā
ki  shaam  biit  ga.ī  aur  tū  nahīñ  aayā
jahāñ  se  maiñ  ne  kiyā  thā  kabhī  safar  āġhāz
maiñ  ḳhaak  dhuul  huā  lauT  kar  vahīñ  aayā
vo  jis  ke  haath  se  taqrīb-e-dil-numā.ī  thī
abhī  vo  lamha-e-maujūd  meñ  nahīñ  aayā
bas  ek  baar  mirī  niiñd  chhū  gayā  koī
phir  is  ke  ba.ad  har  ik  ḳhvāb-e-dil-nashīñ  aayā
bichhaḌ  ke  tujh  se  tirī  yaad  bhī  nahīñ  aa.ī
makāñ  kī  samt  palaT  kar  makīñ  nahīñ  aayā