Yasin Ali Khan Markaz

jo nazar kiya main sifat mein hua mujh pe kab ye ayan nahin

Yasin Ali Khan Markaz

jo nazar kiyā maiñ sifāt meñ huā mujh pe kab ye ayaañ nahīñ
mirī zaat ain kī ain hai vahāñ dūsrī kā nishāñ nahīñ
vahī do jahāñ meñ hai muftaḳhar jaise ainiyat kī huī ḳhabar
vahī hukmarāñ hai jahān meñ vahāñ kufr-o-dīñ kā gumāñ nahīñ
rahe ġhairiyat ke hijāb meñ jo ḳhudā-numā se nahīñ mile
jo ḳhudā ko un se talab kiye rahī baat un pe nihāñ nahīñ
jise ho subūt vajūd kā vahī haq-shanās hai bā-ḳhabar
unheñ jumla aave ḳhudā nazar vo ḳhudā ko dekhe kahāñ nahīñ
maiñ vatan meñ aap safar kiyā jo qadam ko apnī nazar kiyā
milā apnā aap pata mujhe jahāñ ġhairiyat kā bayāñ nahīñ
maiñ to ek 'markaz'-e-dahr huuñ jo ḳhudā-numā ke nishān se
jo batā.ūñ haq kā pata jise rahe baaqī us ko gumāñ nahīñ
Top Urdushayar.com