badan  ko  ḳhaak  kiyā  aur  lahū  ko  aab  kiyā
phir  is  ke  ba.ad  murattab  nayā  nisāb  kiyā
thakan  sameT  ke  sadiyoñ  kī  jab  gire  ḳhud  par
tujhe  ḳhud  apne  hī  andar  se  bāzyāb  kiyā
phir  is  ke  ba.ad  tire  ishq  ko  lagāyā  gale
har  ek  saañs  ko  apne  liye  azaab  kiyā
agar  vajūd  meñ  aa  kar  use  na  milnā  thā
hameñ  kyuuñ  bhej  ke  is  dahr  meñ  ḳharāb  kiyā
usī  ne  chāñd  ke  pahlū  meñ  ik  charāġh  rakhā
usī  ne  dasht  ke  zarroñ  ko  āftāb  kiyā