husn  alfāz  ke  paikar  meñ  agar  aa  saktā
kaisā  hotā  hai  ḳhudā  tum  ko  maiñ  dikhlā  saktā
is  safar  pe  huuñ  ki  halkān  huā  jaatā  huuñ
aur  kahāñ  jaanā  hai  ye  bhī  nahīñ  batlā  saktā
hārnā  bhī  hai  yaqīnī  pe  mirī  fitrat  hai
ek  hī  chaal  hamesha  nahīñ  dohrā  saktā
zindagī  ab  tū  mujhe  aur  khilaune  lā  de
aaise  ḳhvāboñ  se  to  maiñ  dil  nahīñ  bahlā  saktā
maiñ  bhī  taqdīr  ke  likkhe  pe  yaqīñ  le  aatā
vaqt  ik  baar  jo  us  se  mujhe  milvā  saktā