ham  ek  din  nikal  aa.e  the  ḳhvāb  se  bāhar
so  ham  ne  rañj  uThā.e  hisāb  se  bāhar
isī  umiid  pe  guzrī  hai  zindagī  saarī
kabhī  to  ham  se  miloge  hijāb  se  bāhar
tumhārī  yaad  nikaltī  nahīñ  mire  dil  se
nasha  chhalaktā  nahīñ  hai  sharāb  se  bāhar
kisī  ke  dil  meñ  utarnā  hai  kār-e-lā-hāsil
ki  saarī  dhuup  to  hai  āftāb  se  bāhar
'shanās'  khol  diye  jis  ne  ham  pe  sab  asrār
vo  ek  lafz  milā  hai  kitāb  se  bāhar