Faheem Shanas Kazmi

usne puchha bhi magar haal chhupae gae hum

Faheem Shanas Kazmi

Sindh, Pakistan

1965
us ne pūchhā bhī magar haal chhupā.e ga.e ham
apne hī aap meñ ik hashr uThā.e ga.e ham
zindagī dekh ki ehsān tire kitne haiñ
dil ke har daaġh ko ā.īna banā.e ga.e ham
phir vahī shaam vahī dard vahī apnā junūñ
jaane kyā yaad thī vo jis ko bhulā.e ga.e ham
kin darīchoñ ke charāġhoñ se hameñ nisbat thī
ki abhī jal nahīñ paa.e ki bujhā.e ga.e ham
umr bhar hādse hī karte rahe istiqbāl
vaqt aisā thā ki siine se lagā.e ga.e ham
rāste dauḌe chale jaate haiñ kin samtoñ ko
dhuup meñ jalte rahe saa.e bichhā.e ga.e ham
dasht-dar-dasht bikharte chale jaate haiñ 'shanās'
jaane kis ālam-e-vahshat meñ uThā.e ga.e ham
Top Urdushayar.com