us  ne  pūchhā  bhī  magar  haal  chhupā.e  ga.e  ham
apne  hī  aap  meñ  ik  hashr  uThā.e  ga.e  ham
zindagī  dekh  ki  ehsān  tire  kitne  haiñ
dil  ke  har  daaġh  ko  ā.īna  banā.e  ga.e  ham
phir  vahī  shaam  vahī  dard  vahī  apnā  junūñ
jaane  kyā  yaad  thī  vo  jis  ko  bhulā.e  ga.e  ham
kin  darīchoñ  ke  charāġhoñ  se  hameñ  nisbat  thī
ki  abhī  jal  nahīñ  paa.e  ki  bujhā.e  ga.e  ham
umr  bhar  hādse  hī  karte  rahe  istiqbāl
vaqt  aisā  thā  ki  siine  se  lagā.e  ga.e  ham
rāste  dauḌe  chale  jaate  haiñ  kin  samtoñ  ko
dhuup  meñ  jalte  rahe  saa.e  bichhā.e  ga.e  ham
dasht-dar-dasht  bikharte  chale  jaate  haiñ  'shanās'
jaane  kis  ālam-e-vahshat  meñ  uThā.e  ga.e  ham