vāqif  ḳhud  apnī  chashm-e-gurezāñ  se  kaun  hai
mānūs  ab  mire  dil-e-vīrāñ  se  kaun  hai
kis  ko  ḳhabar  hai  kis  ghaḌī  āñkheñ  chhalak  paḌeñ
ab  āshnā  tahayya-e-tūfāñ  se  kaun  hai
dekheñ  jise  ḳhalal  hai  usī  ke  dimāġh  meñ
sarshār  ab  tasavvur-e-jānāñ  se  kaun  hai
vo  zulm  shahr  meñ  hai  ki  andher  hai  koī
vābasta  rasm-e-jashn-e-charāġhāñ  se  kaun  hai
dekho  jise  vahī  hai  giraftār-e-ārzū
ab  duur  is  navāh  meñ  zindāñ  se  kaun  hai
maqtal  meñ  jis  ko  apne  lahū  se  jalāyā  thā
pur-nūr  us  ek  sham-e-farozāñ  se  kaun  hai
chehroñ  kī  zardiyoñ  se  'zafar'  ho  muvāzana
nazdīk  rañg-e-dasht-o-bayābāñ  se  kaun  hai