lahū  kī  lahr  meñ  ik  ḳhvāb-e-dil-shikan  bhī  gayā
phir  us  ke  saath  hī  āñkheñ  ga.iiñ  badan  bhī  gayā
badalte  vaqt  ne  badle  mizāj  bhī  kaise
tirī  adā  bhī  ga.ī  merā  bāñkpan  bhī  gayā
bas  ek  baar  vo  aayā  thā  sair  karne  ko
phir  us  ke  saath  hī  ḳhushbū  ga.ī  chaman  bhī  gayā
bas  ik  ta.alluq  be-nām  TūTne  ke  ba.ad
suḳhan  tamām  huā  rishta-e-suḳhan  bhī  gayā