tumhāre  ba.ad  jo  bikhre  to  kū-ba-kū  hue  ham
phir  is  ke  ba.ad  kahīñ  apne  rū-ba-rū  hue  ham
tamām  umr  havā  kī  tarah  guzārī  hai
agar  hue  bhī  kahīñ  to  kabhū  kabhū  hue  ham
yuuñ  gard-e-rāh  bane  ishq  meñ  simaT  na  sake
phir  āsamān  hue  aur  chār-sū  hue  ham
rahī  hamesha  darīda  qabā-e-jism  tamām
kabhī  na  dast-e-hunar-mand  se  rafū  hue  ham
ḳhud  apne  hone  kā  har  ik  nishāñ  miTā  Daalā
'shanās'  phir  kahīñ  mauzū-e-guftugū  hue  ham