ye  maiñ  ne  maanā  ki  pahra  hai  saḳht  rātoñ  kā
yahīñ  se  niklegā  phir  qāfila  charāġhoñ  kā
yuuñ  ḳhushbuoñ  meñ  Dubo.e  hue  rakhūñ  kab  tak
gunāh  kyuuñ  na  maiñ  kar  luuñ  qubūl  hāthoñ  kā
charāġh-pā  hai  mirī  niiñd  in  dinoñ  mujh  se
maiñ  koī  shahr  basāne  lagā  thā  ḳhvāboñ  kā
hiran  sī  chaukḌī  bharne  lagegī  har  dhaḌkan
jo  zikr  chheḌ  duuñ  us  kī  ġhazāl  āñkhoñ  kā
ḳhumār  o  kaif-o-surūr-o-nashāt  kā  aalam
maiñ  qarz-dār  bahut  huuñ  tumhārī  bāhoñ  kā
ai  din  tū  raushnī  de  kar  ke  is  ke  badle  meñ
hisāb  maañg  na  mujh  se  siyāh  rātoñ  kā
badan-sarā.e  meñ  Thahrā  huā  musāfir  huuñ
chukā  rahā  huuñ  kirāya  maiñ  chand  sāñsoñ  kā