Sarfraz Nawaz

nazar bhi aaya to KHud se chhupa liya maine

Sarfraz Nawaz

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1977
nazar bhī aayā to ḳhud se chhupā liyā maiñ ne
ye kaun hai jise apnā banā liyā maiñ ne
tumhārā lams chhupā hai badan kī partoñ meñ
chhuā jo ḳhud ko lagā tum ko pā liyā maiñ ne
usī ke sāmne jo rahmatoñ kā mālik hai
shikāyatoñ ko duā meñ milā liyā maiñ ne
na kuchh davā kī zarūrat na chāra-gar kī talāsh
ye rog kaun sā dil ko lagā liyā maiñ ne
jhulas gayā huuñ jalā huuñ dhuāñ dhuāñ ho kar
añdherī raat se tum ko bachā liyā maiñ ne
vo milne-julne ke mausam guzar ga.e kab ke
milā jo koī gale se lagā liyā maiñ ne
tumhāre sach kī hifāzat meñ yuuñ huā akasr
ki apne-āp ko jhūTā banā liyā maiñ ne
Top Urdushayar.com