nazar  bhī  aayā  to  ḳhud  se  chhupā  liyā  maiñ  ne
ye  kaun  hai  jise  apnā  banā  liyā  maiñ  ne
tumhārā  lams  chhupā  hai  badan  kī  partoñ  meñ
chhuā  jo  ḳhud  ko  lagā  tum  ko  pā  liyā  maiñ  ne
usī  ke  sāmne  jo  rahmatoñ  kā  mālik  hai
shikāyatoñ  ko  duā  meñ  milā  liyā  maiñ  ne
na  kuchh  davā  kī  zarūrat  na  chāra-gar  kī  talāsh
ye  rog  kaun  sā  dil  ko  lagā  liyā  maiñ  ne
jhulas  gayā  huuñ  jalā  huuñ  dhuāñ  dhuāñ  ho  kar
añdherī  raat  se  tum  ko  bachā  liyā  maiñ  ne
vo  milne-julne  ke  mausam  guzar  ga.e  kab  ke
milā  jo  koī  gale  se  lagā  liyā  maiñ  ne
tumhāre  sach  kī  hifāzat  meñ  yuuñ  huā  akasr
ki  apne-āp  ko  jhūTā  banā  liyā  maiñ  ne