mujh  ko  honā  hai  to  darvesh  ke  jaisā  ho  jā.ūñ
manzileñ  sab  ke  liye  aur  maiñ  rasta  ho  jā.ūñ
kitnā  dushvār  hai  ik  lamha  bhī  apnā  honā
us  ko  zid  hai  ki  maiñ  har  haal  meñ  us  kā  ho  jā.ūñ
maiñ  ne  āñkhoñ  ko  tirī  ġhaur  se  dekhā  hai  bahut
ye  to  mumkin  hī  nahīñ  hai  ki  maiñ  andhā  ho  jā.ūñ
jo  harārat  hai  badan  meñ  vo  tire  lams  kī  hai
tū  mujhe  gar  na  chhue  miTTī  kā  tuudā  ho  jā.ūñ
is  qadar  lutf  bikharne  meñ  milā  hai  mujh  ko
maiñ  ne  koshish  hī  nahīñ  kī  kabhī  yakjā  ho  jā.ūñ
phir  ye  Dartā  huuñ  ḳhudā  jaane  bhalā  kaisā  ho
jī  meñ  aatā  hai  kabhī  apnā  bhī  chehra  ho  jā.ūñ
ġhā.ebāna  hī  sahī  merā  ta.āruf  ho  jaa.e
maiñ  kahānī  kā  kisī  tarah  se  hissa  ho  jā.ūñ
is  tarah  yaad  tirī  aa  ke  uchak  le  mujh  ko
daf.atan  bhiiḌ  meñ  chalte  hue  tanhā  ho  jā.ūñ
in  tabīboñ  ko  ilāj-e-ġham-e-dil  kyā  ma.alūm
tum  ayādat  ko  chale  aao  to  achchhā  ho  jā.ūñ
yuuñ  hī  miTTī  meñ  paḌā  ek  hunar  huuñ  maiñ  bhī
jauharī  mujh  ko  parakh  le  to  maiñ  hiirā  ho  jā.ūñ
tū  nahīñ  yaad  nahīñ  koī  nahīñ  maiñ  bhī  nahīñ
aur  kuchh  aur  maiñ  kuchh  aur  akelā  ho  jā.ūñ